welcome सुवाग्त خوش آمدید
Geschrieben von Manohar am 22. July 2008 | Abgelegt unter Uncategorized
————————–
—————————
ॐ
Pyaare bhaayo aur behnoN !
Humaare samaaj ke mushtarakah mafadaat (Common social interest) ko mad-e-nazar rakhte hoy pesh aane waale mottanaaze’a masail (conflict issue) ko manzar-e aam par laane, un ke mokhtalif pehluoN par Ghaur karne aur logoN ko unki raay dene ka mauqa faraaham karne ke liye is Magazin ko chhapne ki bajaay Online nashar kiya ja raaha hai.
Vereins aur logoN ke liye yehi who mushtarakah Plattform ho sakta hai jahaan par hum apne masaail aur moshkilaat ko sab ke saamane rakh kar un par behes-o-mubaahisa (discuss and dialogue) kar sakte haiN. Naye daur ki is tez-raftaar dunnya me yehi sab se aasaantareen tariqa hai
Yeh Forum sab ke liye hai koyi bhi kisi bhi maujzoo par apne khayalaat ka izhaar, tapsira aur sawaal-o-jawaab kar sakta hai.
__________________________________________________________________
प्यारे भाइयो और बहिनो,
आन लाय्न मैगज़ीन (खुल्ले ख़त) में आप सब का स्वागत है
इस वेब साइत् का नाम (खुल्ले ख़त) इसीलिए ही रखा गया है ताके आप अपने विचारों को खुल्ली तरह से बयान कर सकें यहां पर लिखे कसी भी विश्य पर आप अपने विचार या टिपणी लिख सकते है और अगर कोई प्रशन हो तो पूछ सकते है
इस साइत् मे आप को अधिक्तर् गिले - शिकवे और शिकायात पडने को मिलेगी - जिस को सुन्ने के लिए हम सब को तैयार होना चाहीये
आलोचना (Kritik) करने का मतलब विरोधी या शत्रु होना नहीं बल्के इस से विकास का ही मार्ग मिलता है
___________________________________________________________________
Comments karne waaloN se humaari guzaarish hai ke apne Comments me lafzoN ka istemaal karte waqat is baat ka khayal rakheN ke woh adab aur akhlaaq ke daire se baahar na hoN.
Warna publish nahiN kiy jaayeN ge. ya hosakta hai ke kisi na-munasib lafz ko * [Vor der Redaktion entfernt] ke zariy cut ya *[Von der Redaktion geändert] ke zariye tabdeel kiya jay.
___________________________________________________________________
Roman Urdu likhne aur paRne ke liye wikipedia ke is Link ko dekheN:
http://www.jang.com.pk/jang/spedition/roman-qaida/qaaida.htm
___________________________________________________________________
,پیارے بھائیو اور بہنوں
ہمارے سماج كے مشتركہ مفادات كو مد نظر ركھتے ہوئے پیش آنے والے متنازعہ مسایل كو منظر عام پر لانے، ٱنكے مختلف پہلوؤں پر غور كرنے اور لوگوں كو ٱنكی رائے دینے كا موقع فراہم كرنے كے لیے اس میگزین كو چھاپنے كی بجائے آن لاین نشر كیا جا رہا ہے.
فرآین اور لوگوں كے لیے یہی وہ مشتركہ پلیٹ فارم ہو سكتا ہے جہاں پر ہم اپنے مسایل اور مشكلات كو سب كے سامنے ركھ كر ٱن پر بحث اور مباحثہ كر سكتے ہیں نئے دور كی اس تیز رفتار دنیا میں یہی سب سے آسانترین طریقہ ہے یہ فوروم سب كے لیے ہے كوئی بھی كیسی موضوع پر اپنے خیالات كا اظہار، تبصرہ اور سوال و جواب كرسكتا ہے
——————————————————————
Pyaare Bhayo aur Behno,
Yeh HP 19. April 2008 se ek shakhsi tajrube aur tehleel ki bunyaad par Online kia gaya hai jo 18. April 2009 tak aap ki khidmat me haazir rahe ga.
Yeh hai Germany me rehne waale apne Behen - BhaayoN ke liy mera ek Paigham (Message), jo maiN ne is HP ke zariye dia hai. Nateeje ke taur par ek aakhri Massege (Aakhri Khat) ke naam se is HP ko band karne se pehle, aap ki khidmat me pesh kia jaay ga.
Tab tak aap ke nazariyat aap ke Comments ki surat meN is Forum me nashar hote raheN ge.
Agar Kisi ko koyi shikaayat, inteqaad (Kritik) ya koyi sawaal karna ho to Khulle Khat upar likhi tareekh tak aap ki khidmat me haazir hai. us ke baad is Forum ko band kia jaye ga.
Manohar Gaba
———————————————————————-
प्यारे भाइयो और् बहिनो,
यह होम पेज (19 April 2008) से एक निजी अनुभव और सोच के आधार पर आन लाय्न किया गया है जो (18 April 2009) तक आप की सेवा में उपस्थित रहेगा
यह था जर्मनी में रेहने वाले अप्ने बहिन भाइयों के लिए मेरा एक संदेश जो मैंने इस होम पेज के माध्यम से दिया है.
नतीजे के तौर पर एक आखरी पैग़ाम (आख़री ख़त) के नाम से एस होम पेज को बन्द करने से पहले आप को दिया जाए गा. तब तक आप के विचार आप के टिप्पणियों के द्वारा एस फ़ोरुम में प्रकाशित होते रहें गे.
अगर किसी को कोई शिकायत, आलोच्ना या कोई प्रश्न करना हो तो खुल्ले ख़त ऊपर लिखी तारीख तक आप की सेवा मैं हाजिर है. उस के बाद इस फ़ोरुम को बन्द किया जाए गा.
आप का
मनोहर गाबा
—————————————————————————
عزیز دوستو،
یہ ہوم پیج 19 اپریل 2008 سے ایك شخسی تجربے اور تحلیل كی بنیاد پر آن لأین كیا گیا ہے جو 18 اپریل 2009 تك آپكی خدمت میں حاضر رہے گا
یہ تھا جرمنی میں رہنے والے اپنے بہن بھائیوں كے لیے میرا ایك پیغام جو میں نے اس ہوم پیج كے ذریعے دیا ہے،
نتیجے كے طور پر ایك آخری پیغام آخری خط كے نام سے اس ہوم پیج كو بند كرنے سے پہلے آپكی خدمت میں پیش كیا جاے گا، تب تك آپكے نظریات آپكے تبصروں كی صورت میں اس فورم میں نشر ہوتے رہیں گے
اگر كیسی كو كوئی شكایت، انتقاد یا كوئی سوال كرنا ہو تو كھلے خط اوپر لكھی تاریخ تك آپكی خدمت میں حاضر ہے، ٱسكے بعد اس فورم كو بند كیا جاے گا
منوھر گابا
Pyaare Bhaayo aur behno,
Plan ke motabiq Mr. Aazad is HP ko aage lejaane ke liye to haazir the, magar woh apne asli Naam ko zahir karne ki meri shart (Bedingung) ke liye tayaar nahiN. Aur maiN unki anonym rehne ke haq ka ehteraam to karta hooN, magar phir bhi kisi gum-naam shakhs ko is HP ki zimedaari dene ke liye tayaar nahiN.
is HP ke band hone ki khabar ke baad mujhe kuchh E-Mails mile, jis me Khulle Khat ko jaari rakhne ki khwahish ki gayi hai. Aap logoN ki khwahish ka ehteraam karte hoye fil-haal Khulle Khat ko (sirf aap ke Comments ke liye) aise hi aktive rehne dia jaa raha hai.
Aap log is ko kaise aur kis shakal me aage le jaana chaahte haiN yeh aap logoN ki marzi par hai. Aap ke Comments hi is HP ko koyi samt (Richtung) de sakte haiN.
Mujhe jo kehna tha woh keh chukka. Sab se ehem baat yeh hai ke: Aap kya chahte haiN?
Aap ka
GM - 09.05.2009



